Lucknow ki Hardoe Road par Musabagh se pahle yah Mazar Hazrat Multan sahab Rahmat Ullah or Hazrat Sultan sahab Rahmat Ullah ke hain jo Multan se Hazrat Masood Ghazi Rahmat Ullah ke zamane me aaye thay Dono ka issi jagha par inteqal huwa tha is mazarat ki takhreban 200 Begha Zameen thi yaha mughlo ke daur me bhi Or Shahane Awadh ke zamane me kafi bade paimane par urs hota tha jisme poore Bharat se loog aate thay sab ke rukne or khane ka us waqt ki maujoda hukumat ki janib se intezam kiya jata tha bahot bada mela lagta tha malum yah bhi huwa ke aksar Dilhi ke Mughal shahzade bhi aate thay aor Awadh ke Nawab bhi urs me shamil hote thay Magar ab in mazarat ki Zameen sirf yahi rah gae hai jaha par mazar hai magar abhi bhi in ke chahne wale badi Tadat me Mazar par aate hain or apni Murad pori hone par Chadar wa Phool Chadhate hain
By zulkifl rizvi
Admin and Founder
S.M.Masoom
Cont:9452060283
0 comments:
एक टिप्पणी भेजें
हमारा जौनपुर में आपके सुझाव का स्वागत है | सुझाव दे के अपने वतन जौनपुर को विश्वपटल पे उसका सही स्थान दिलाने में हमारी मदद करें |
संचालक
एस एम् मासूम